Feroze khan ki ex wife Aliza Sultan ne mashhoor drama ‘Aap Ki Izzat’ ke scenes share kar ke apni purani shadi shuda zindagi ka comparison kiya hai. Is par Feroze Khan ke fans ne unhein kafi tanqeed ka nishana banaya. Aliza ne jawaban kaha ke un ki posts par log bewaja pareshan ho gaye hain.