Sahar Hashmi apni marhooma walida ko yaad karte hue jazbaati ho gayeen. Unhon ne ek intehai dukh bhari video share ki jis mein wo apni walida ki judai ka gham bayan kar rahi hain. Sahar ka kehna tha ke kuch din un par bohot bhari guzarte hain aur wo hamesha apni maa ki maujoodgi ko mehsoos karti hain.