Drama serial “Khwaab Meray” mein Alizeh Shah aur Azfar Rehman ke aik romantic scene ka social media par mazaq udaya ja raha hai. Sarifeen ne dono adakaaron ke darmiyan chemistry ki kami aur scene ki kharab shooting par sakht tanqeed ki hai. Logon ka kehna hai ke ye scene dekhne mein bilkul naqli lag raha tha.