TikToker Mujtaba Lakhani ne Aiman Zaman se talaq ki wajah “bewafai” qarar de di hai. Mujtaba ne inkishaaf kiya ke Aiman ne career ki khatir unhen chora aur wo rishte ke doran hi kisi aur ke sath thin. Unhon ne kaha ke support karne ke bawajood unhen dhoka mila, jis par fans Mujtaba ki himayat kar rahe hain.