Mashhoor photographer aur stylist Khawar Riaz ne haaliya interview mein adakara Minal Khan ko sab se qudrati taur par khubsurat celebrity qarar diya hai. Unhon ne bataya ke Minal itni sada aur ba-akhlaq hain ke unhein makeup ki zaroorat nahi thi aur woh unki tasaveer le rahe thay jabke Minal shoot shuru hone ka poochti rahi.