Morning show ke doran Javeria Saud ne eik dilchasp baat kahi ke agar mian achanak bohot khayal rakhne lagen aur bina wajah gifts dene lagen to iska matlab kuch gadbad hai shayad koi extramarital affair chal raha ho. Unhon ne hans kar kaha ke jab unke shohar aise behave karte hain, to woh foran shak kar leti hain.