Affan Waheed ne AHI mein kamyabi ke liye socializing ki ahmiyat par baat ki. Unhon ne kaha ke introvert hone ke bawajood acha actor banna mumkin hai aur har waqt interviews ya social media par nazar aana zaroori nahi, lekin aaj ke daur mein visibility ek naya norm ban chuki hai.