Pakistani actress aur entrepreneur Komal Aziz Khan ne kaha hai ke unhein acting ke muqablay mein business zyada mutmain karta hai. Instagram Q&A mein unhon ne bataya ke business mein dimagh zyada use hota hai aur market value waqt ke sath barhti hai, jabke acting mein aisa nahi hota.