YouTuber Rajab Butt ki wife Eman Fatima ne drama ‘Dar-e-Nijaat’ ke kirdar Abubakar ki tareef karte hue apne shohar aur saas par balwaasta tanz kiya hai. Unhon ne kaha ke Abubakar jaisay mard achi maaon ki tarbiyat se bantay hain jin mein mardana ana nahi hoti, jis par social media par nayi behas chhir gayi hai.