Actress Minal Khan ne waalid ki wafat ke 5 saal mukammal hone par Instagram par jazbati paigham share kiya. Unhon ne kaha ke waalid ke baghair guzra har lamha sadiyon jaisa lagta hai. Minal ne likha ke 5 saal lakhon barson ke barabar mehsoos hotay hain aur dubara mulaqaat ki umeed ka izhar kiya.