Maryam Noor ne ‘DHA Wali Maid’ ke liye apni himayat ka izhaar kiya hai. Unhon ne na sirf unki mehnat ki tareef ki balkay us khatoon ko bhi khiraj-e-tehseen pesh kiya jis ne unhen apne ghar mein content banane aur agay barhne ka mauqa diya. Maryam ka kehna hai ke aisi hosla afzai waqai aik misali qadam hai.