Aamir Khan ne bhai Faissal Khan ke sath chalne wale ikhtilaf par khamoshi tor di. Actor ne kaha ke insaan duniya se larr sakta hai lekin apni family se nahi. Aamir ne Mela ki nakaami ko dono bhaiyon ke liye mushkil daur bataya aur kaha ke film ka fail hona unhein aur Faissal dono ko bohat hurt kar gaya.