Faizan Sheikh ne Bollywood ki film Dhurandhar par tanz kay sath stereotypical Pakistani portrayal ko mock kiya. Social media post mein unhon ne hint diya ke Bollywood har dafa wohi purani kahani dobara sunata hai aur “kuch naya try karo” ka mashwara diya۔ Trailer mein Lyari ke gang conflicts , PPP flags aur Benazir references ne bhi Pakistanis mein gussa paida kiya hai.