Sajal Aly ne eik interview mein kaha ke shadi eik khoobsurat rishta hai lekin larkiyon ke liye mushkil bana diya gaya hai. Unka kehna tha ke shadi tab hi karni chahiye jab aapko koi aisa humsafar mile jo aapke khwabon mein rukawat na bane. “Zindagi ka maqsad shadi nahi hota,” unhone mazbooti se kaha.