Ranbir Kapoor ne eik purane interview mein kaha ke film Rockstar ke baad wo emotional taur par bilkul khaali mehsoos karte the. Unhone bataya, “Main ne apne parents ke saath milna julna band kar diya tha, bas bed par pada rehta tha. Mujhe laga main ne sab kuch Rockstar mein de diya.” Fans ne unki honesty ko saraha.