Dr. Rauf Parekh ke mutabiq dono sahi hain! Urdu mein masdar (parhna, likhna, khana) muzakkar aur moannas dono tor pe istemal hoti hai. Misal: roti khani hai / roti khana hai, namaz parhni hai / namaz parhna hai. Delhi walay moannas form ko tarjeeh dete hain (parhni), Lucknow walay muzakkar (parhna). Matlab, dono qawaid ke hisaab se theek hain!