Pakistani all-rounder Shadab Khan ne apni pehli beti ki paidaish ka elan kar diya. Instagram aur X par tasveer share karte hua shadab ne Allah ka shukar ada kiya aur fans se duaon ki darkhwast ki. Shadabkhan ne 2023 mein Saqlain Mushtaq ki beti se nikah kiya tha. Fans aur cricket stars ne mubarakbad di. Shadab khan Islamabad United ke PSL captain hai.