Pindi Bhattian ke gaon Kot Nikka me zahreela khana khane se 3 bachay jan se gaye, jabke 3 ki haalat abhi bhi critical hai. Sab eik hi khandan se taluq rakhte hain. Rescue 1122 ne bachon ko hospital pohanchaya, police ne tafteesh shuru kar di. Tandlianwala me bhi pehle 4 betiyan aur maa zahreela khana khane se jan se gayi thi.