Sindh Police ne Karachi ke tamam thaano ko 1 month mein PSRMS system par shift karne ka faisla kar liya. Doosre divisions 2 months mein digital ho jayenge. Agle chand months mein thaana aur investigation wing paperless banenge. IG Sindh Ghulam Nabi Memon ne staff training aur naye ASIs ko investigation mein lagane ki hidayat di.