Lahore ke Harbanspura area mein domestic jhagre par mulzim Imran ne apni biwi, 14 saal ki beti, 15 saal ke bhatija aur sasur ko qatal kar diya aur wardat ke baad farar ho gaya. Police ne laashain hospital bhej kar case register kar liya, SP Cantt ke mutabiq mulzim ki giriftari ke liye special team chapa maar rahi hai.