Jhelum se mashhoor mazhabi scholar Engineer Muhammad Ali Mirza ko Deputy Commissioner ke orders par 3 MPO ke tehat arrest kar ke jail bhej diya gaya. Thana City Police ne unki academy bhi seal kar di hai. Religious parties aur ulema ke numaindon ne pehle bhi unke khilaaf arrest ke demand ki thi.