Sabiq Indian tennis star Sania Mirza ne aik talk show ‘Double Date’ mein apne relationship status par khul kar baat ki hai. Sania ne wazahat ki ke unki zindagi mein is waqt koi mard nahi hai aur woh single hain, jabke unke male friends unhe aksar doston ki tarah hi treat karte hain.