Superstar Mahira Khan ne drama ‘Dar-e-Nijat’ ki writer Umera Ahmed ki tareef karte hue ek social media post se ittefaq kiya hai. Post mein kaha gaya ke Umera Ahmed ne Sheheryar Munawar ke kirdar Abu Bakar ke zariye duniya bhar mein Pakistani mardon ka tasawwur badal kar unhe deendar aur parhezgar dikhaya hai.