Drama ‘Mitti De Baway’ mein Hanif ka kirdar nibhanay wale adakar Kamran Mujahid ne industry ki indifference par khul kar baat ki hai. Unhon ne bataya ke woh kaam ke liye directors ko phone karne ya bheek mangne par yaqeen nahi rakhte thay, lekin ab is drame ke baad unhe mazeed offers mil rahi hain.