Veteran adakara Sania Saeed ne maamta ikhtiyar na karne ke faislay par khul kar baat ki hai. Unhon ne bataya ke unhe bachay boht achay lagtay hain, lekin un ke saath aane wali zimmedariyan aur tarbiyat ka poora azm hona chahiye, kyunke bachay paalna aik boht bari commitment hai.