Pakistan ki superstar Hania Aamir aur Diljit Dosanjh ki Punjabi horror-comedy film ‘Sardaar Ji 3’ India mein streaming platform par release ho gayi hai. Pakistani adakara ki casting par hone walay tanazaat ke baais film ko Indian cinemas mein nahi chalaya gaya tha, jabke Pakistan mein isne 60 crore ki kamai ki thi.