Adakar Danish Taimoor ne wife Ayeza Khan ke sath dobara kaam karne par apna moqaf bayan kiya hai. America mein aik charity event ke doran Danish ne kaha ke woh Ayeza ke sath zaroor kaam karenge, bas unhe aik achhe aur jaan-daar script ka intezar hai jo unke kirdaron ko sahi tarah se paish kar sake.