Pakistani film star Meera Ji ki choti behen aur adakara Shaista Abbas UK mein intiqal kar gayi hain. Shaista pichle teen saalon se cancer ki aakhri stage se lad rahi thiin. Fans, media shakhsiyat aur sarfeen ne Meera Ji aur unke khandaan se gehray dukh aur taziyat ka izhar kiya hai.