Adakara Durefishan Saleem ne drama ‘Dar-e-Nijat’ mein apne kirdar Zaryab ke modest pehnaway par tabsara kiya hai. Durefishan ne kaha ke asli imaan androoni tabdeeli se aata hai jo appearance mein nazar ane lagta hai, aur muashray ko khawateen ke libas ke intekhab par unhe judge karna band kar dena chahiye.