Adakara Javeria Saud ne apne shohar Saud Qasmi ki tareef karte hue bataya ke unhon ne shadi par koi jahez nahi liya, balkay ghar ke furniture tak ka intezam khud kiya. Javeria ne izhar-e-khayal karte hue kaha ke woh dua karti hain ke har larki ko aisa hi shohar mile.