Senior adakara Munazzah Arif ne apne khandaan ke sath anokhe aur cool style mein salgirah mana kar social media par sab ki tawajjoh haasil kar li hai. Shiny black outfit aur tiara pehen kar unhon ne viral candle trend ke sath apna birthday cake kata, jise fans behad pasand kar rahe hain.