Adakara Hina Afridi ne mashhoor drama ‘Mitti De Baway’ ke set se khoobsurat BTS tasaveer share ki hain. Drama mein ‘Qamar un Nissa’ ka kirdar nibhane wali Hina ne apne co-star Wahaj Ali aur director Syed Wajahat Hussain ke sath khushgawar lamhat ki tasaveer post kein, jise fans behad pasand kar rahe hain.