Pakistani ke famous YouTuber Ducky Bhai ko maheenon ki mehnat aur intezar ke baad aakhir kar apna YouTube Diamond Play Button mil gaya hai. Yeh award unhein 10 million subscribers mukammal karne par diya gaya hai, jis par unke fans aur social media users unhein behad mubarakbaad de rahe hain.