Adakara Minal Khan aur Ahsan ne apne bete Hasan ki teesri salgirah dhoom dhaam se manayi hai. Minal ne social media par family ki pyari tasaveer share karte hue bete ke liye duaaein aur muhabbat bhara paigham likha, jis par fans aur showbiz shakhsiyat ne Hasan ko salgirah ki mubarakbaad di.