Pakistan ke famous Veteran actor Moammar Rana ki biwi Mehnaz ne Lahore family court se khula hasil kar li hai. Unki darkhwast mein physical aur verbal abuse, bachon ke samne nashay ke istemal aur ghar ke akhrajaat uthane se inkar ke sangheen ilzamaat shamil hain. Is news ke baad public ke mixed reactions samne aa rahe Hain.