Sabiqa Indian tennis star Sania Mirza ne apne bete Izhaan ki salgirah ke mauqe par aik khoobsurat aur jazbati note share kiya hai. Sania ne apne bete ke liye mohabbat ka izhar karte hue ussey sab se behtareen aur naik dil bacha qarar diya, jis par fans ki janib se khoobsurat paigham mil rahe hain.