Indian Journalist Faridoon Shahryar ne Pakistani drama ‘Dar-e-Nijat’ aur Sheheryar Munawar ke kirdar ‘Abu Bakar’ ki behad tareef ki hai. Unhon ne kaha ke Sheheryar ne sab par jadu kar diya hai aur drama India samet sarhad ke dono taraf aur overseas market mein tareekhi maqbooliyat hasil kar raha hai.