Maaroof adakara Mishi Khan ne fashion show mein kalaam ke istemal par sakht nafrat ka izhar kiya hai. Unka kehna hai ke kalaam ki aik khas izzat aur muqaddas maqam hota hai, is liye isay kisi bhi fashion show ya commercial maqsad ke liye istemal nahi kiya ja sakta.