Maaroof adakara Hina Afridi ke bhai Shoaib Khan ne drama ‘Mitti De Baway’ mein apni behan ki entry par khushi ka izhar kiya hai. Unhon ne bataya ke woh aam tor par apni behan ke rone wale drame nahi dekhte, lekin yeh show aik masterpiece hai jisay woh behad pasand kar rahe hain.