Geo TV ke drame ‘Nashtar’ mein Danish Taimoor aur Anmol Baloch ke bold scenes par shaiqeen ki janib se sakht tanqeed ki ja rahi hai. Logon ka kehna hai ke har naye drame mein wahi purana aur cheap romantic andaz dohraya jata hai, jis par ab fans tang aa chuke hein.