Mashhoor YouTuber Iqra Kanwal ke shohar Areeb Pervaiz ne aik podcast ke doran apni financial dependence aur income par hone wali baaton ka karara jawab diya hai. Unhon ne wazahat ki ke log baghair soche samjhe batain karte hain, jabkay woh aur Iqra apne restaurants aur mukhtalif business mein barabar ke partner hain.