Sabiqa adakara aur businesswoman Komal Aziz Khan ko apne staff ke sath beach par picnic manane aur staycation arrange karne par social media par sakht tanqeed ka samna karna para hai. Logon ne unke is qadam ko “show-off” qarar diya, jabkay kuch sarfeen ne unki brand quality aur wazan par bhi tanqeed ki.