Adakara Zoya Nasir ne senior adakara Saba Faisal ke divorce par diye gaye controversial bayan ka sakht jawab diya hai. Zoya ne kaha ke larki shadi bachane ki har mumkin koshish karti hai aur jab koi rasta nahi bachta tab divorce leti hai, isliye is par kisi ko sharminda hone ki zaroorat nahi hai.