Maroof adakara Dur-e-Fishan Saleem ka aik bayan social media par khoob viral ho raha hai, jis mein unhon ne rishton ki munafiqat par baat ki. Unhon ne kaha ke agar mard bag uthaye toh use romance samjha jata hai, lekin agar aurat khana pesh kare toh use ghulami samajhna rishton mein munafiqat ki inteha hai.