Aanewali film ‘Mango Jutt’ ki promotion ke doran adakara Hareem Farooq ke mukhtalif looks par fans ki janib se shadeed tanqeed ki ja rahi hai. Unke Patiala shalwar, parandas aur sleeveless libas wale styles ko internet par pasand nahi kiya gaya, aur unhe body shaming ka bhi samna karna para hai.