Drama serial ‘Mitti De Baway’ mein adakara Amar Khan ki shandar adakari aur unke mazboot Punjabi dialogues ko sarraha ja raha hai. Sarfeen unki jazbati adakari aur hardcore Punjabi par aboor ki bharpoor tareef kar rahe hain. Yeh performance shaiqeen ko behad pasand aa rahi hai aur social media par dhoom macha rahi hai.