Pakistani adakara Saboor Aly ne haal hi mein aik film premiere par mardana kapre pehan kar sab ko hairan kar diya. Unhon ne designer ‘Mo By Mohsin Tawasuli’ ke men’s collection ka powder blue shalwar kurta pehna. Gel baalon aur natural makeup ke sath unka yeh naya style social media par chha gaya hai.