Adakara Sanam Saeed ne ‘nepo kids’ ke haq mein aawaz uthate hue logon ko tanqeed band karne ki hidayat ki hai. Unhon ne kaha ke nepo kid hona koi gunah nahi, wo bhi insaan hain aur unke paas bhi dil hota hai. Unki zaat aur mehnat ko bina wajah nishaana banana bilkul ghalat hai.