Adakara Sajal Aly ne social media par khawateen ke hawale se aik ahem paigham share kiya hai. Unhon ne kaha ke aurton se unke kapdon ya look ke bajaye unke kaam, hunar aur kamyabi ke bare mein sawal kiye jane chahiye. Sajal ke is bayan ko fans behad pasand kar rahe hain.