Bollywood adakara Ratna Pathak Shah ne Fawad Khan ki zahanat aur rawaiye ki khule dil se tareef ki hai. Unhon ne kaha ke Pakistan mein bara star hone ke bawajood Fawad ne film ‘Kapoor & Sons’ ke set par kabhi nakhre nahi dikhaye. Fans is tareef par behad khush nazar aa rahe hain.